suna he is jahan me
zindgi ki qehetsali he
yahan do char din jeene ka
aksar zikr hota he
yahan har cheez fani he
sabhi ko moat aani he
yahan izhar kya karna?
yahan pe pyar kya karna?
magar kuch yoon bhi sunta hoon
keh aisa ik jahan ho ga
keh jis main moat aane ka
koi dharhka naheen hoga
hayat.e.jaa'vidan k sab
wahan asbab rakhe hain
ye mera tum se wada he
agar dno wahan mil gaye
waheen iqrar kar lain ge
waheen izhar kar lain ge
WAHEEN PHIR PYAR KAR LAIN GE